aag barabar phenk raha tha suraj dharti walon par tapti zamin par lu ke bagule khak udate phirte the nahr kinare ujde ujde ped khade the kikar ke jin par dhup hansa karti hai waise un ke sae the ek charwaha bheden le kar jin ke niche baitha tha sar par maila safa tha aur kulhadi thi hathon mein chalte chalte charwahe se main ne itna puchh liya ai bhedon ke rakhwale kya log yahan ke dana hain kya ye sach hai yan ka hakim nek bahut aur aadil hai sar ko jhuka kar dhundli aankhon wala dhime se bola baadal kam kam aate hain aur barish kab se ruthi hai nahren band padi hain jab se sari dharti sukhi hai kuchh salon se kikar par bhi phalliyan kam hi lagti hain meri bheden pyasi bhi hain meri bheden bhuki hain