ye jhut hai ki karachi mein barish ke baad nikalne wali ghas ki konplen gahri sabz aur narm nahin hotin ya ye ki darakht baadalon ki madad ke baghair saya faraham nahin karte ye bhi jhut hai ki yahan khargoshon ki aankhen andhere mein nahin chamaktin aur gilahriyan baadam aur aakhrot ke chhilkon se nahin khultin ya ye ki hatheli par rakhne se bair-bahutiyan zard pad jati hain sanp apne hisse ka dudh kaghzi azdahon ke liye chhod jate hain hamare alawa karachi mein chidiyan bhi rahti hain jo goliyon ki aawaz aur dhamakon ke bawajud darakhton par se udti hain diwaron par baithti hain kahin na kahin jama ho kar bila-nagha duaen mangti hain ya hamari taraf raat bhar apne apne thikane mein chhupi rahti hain aur subh hone tak bahar nahin nikaltin