phatte irade yaqin musibat panw dhulae chashma ki hont shabih-e-luab mayassar raat anokha saneha ho jaega maile kanwal ke phul dubota lipat lipat kar chumta pani, pani pani nadamat se maghlub kharabi: madd-o-jazr maujud tabiat ka takhrib tamasha murajat aankhon se ojhal chhuti bahati be-tartib azab hai hari-bhari bechaargi kaise? aks-e-shabahat pankhudiyon ka wo jo irade ki tarkib nahin pa sakta laraz raha hai phul tashaddud khauf mein gharq-e-hararat dubti ubharti patiyan kenchuli utre to baat bane main kah dun? kar guzrun? aasab tashannuj phailti be-rukh baaton ki tardid-e-qayamat kar bhi chuko ye hadsa daera sa ye simatta phailta sarpat bhagte qadmon ki lu par jal-bhun rakh ho shoala thirakta ridh ki haddi se maghz ke hukm-e-salasil chatta din pane ki laghzish kar le kar hi le majburi aa leti hai chau-gard ki gardish rakh qarine ki yakjai tamsil-e-ba-zahir ki taid mein rakhti hai ungliyan ungliyan, baaten baaten, pasina pasina baqi baqi aur bechaargi taham to ye tayaqqun tark-e-taghaful thahre qaul qayamat aane ke jatan kare taqrib-e-tamasha dhunde chhupi rahe, tadpae, tadpe