chaar baras ke maile kuchle duble-patle ladke mein thi ghazab ki phurti chaurahe par ek taraf ki hari light se dusri samt ki lal light tak bijli ki tezi se wo aata jata tha jo mil jae us ke aage phailata tha apni hatheli jis mein khush-haali aur lambe jiwan ki rekhaen thin chaurahe tak hi mahdud thi us ki duniya jis ko us ne nahin chuna tha traffic light ke ird-gard tha us ka jiwan wo bhi us ne nahin chuna tha tute pul ke niche us ka janam hua tha wo bhi us ne nahin chuna tha kal shab traffic light ko todne wale truck se dab kar maut ho gai us ki wo bhi us ne nahin chuni thi