chyuntiyan zamin par kitne kos chalti hongi aur kitni hamare pairon tale aa kar masal jati hongi is ka shumar nahin lekin jab ye hamare badan par chalti hain to hum unhen gin sakte hain in ki masafat ka andaza laga sakte hain tum apne badan par katti chyunti ko kaise alag karte ho ye chyunti bata sakti hai ya is ke tute hue aaza tum chiyuntiyon ke gharon ke bare mein is se zyaada nahin jaan sakte ki wo darwazon ki rikhon ya diwaron ki daradon mein rahti hain ya raat bhar chalti rahti hain lekin tum ye nahin jaan sakte ye kahan mil baithti hain kahan khufiya meetingen karti hain lekin jab tum shahd ke martaban shakar ke dabbe ya gosht ke tukde ki tarah in ke khane ka zakhira ban jaoge to wo an-ginat jama ho kar tumhaare an-ginat tukdon ko aapas mein bant lengi aur tumhein darwaze ki rikhon aur diwaron ki daradon ke andaruni hisse dikhaengi aur wo goshe bhi jahan unhon ne khufiya meetingen ki thin