binai bhi apni meri khwab bhi mere apne hain binai bhi sachchi meri khwab bhi mere sachche hain in donon ki lazzat sachchi aur aziyyat bhi sachchi mujh ko ye malum to hai ki tum mere aur mujh jaise lakhon logon ke khwabon se nafrat karte rahte ho aur us ki tabir ke badle bhuk iflas gharibi aur mahrumi ke darwaze wa karte hi rahte ho aur un darwazon ke zariye bimar ujale naslon tak phailate ho dahshat-gard banate ho lekin tum ne kab socha hai jalti aur dahakti raaten waqt ka chalta pahiya yaksar aam nahin kar sakti hain meri aankhon ki binai mere khwabon ki sachchai mujh se chhin nahin sakti phir bhi sun lo azm hai apna jab tak aankhon ki binai jab tak apne khwab salamat tez nazar na-binaon ko apne khwab nahin bechenge chahe kuchh ho chahe dhyan ganwa den apna chahe apni jaan bhi jae