kale kale daku chhat par dham dham karte daud rahe hain kamron se sab box utha kar chhat par la kar be-rahmi se tod rahe hain in bakson mein ek bada sa box hai meri man ka bhi jis mein meri shishe wali goli ki thaili rakkhi hai is bakse ke tutne par main khush hota hun chhat par ja kar banduqon ke sae mein apni sab goli chunta hun subh ko mere sare sathi meri rang bhari goli ko lalchai nazron se takte rahte hain barbaadi ka matam mujh ko goli ke rangon se halka lagta hai