mera zehn banta chala ja raha hai khayalat-e-fasid ki daldal ki mahsus hone laga hai meri zindagi mein rahegi hamesha hawas kar-farma ho sarma ki garma kabhi pyas bujhti nahin hai piyun jitni mai fusun-e-mulaqat hai bais-e-be-qarari junun-e-mulaqat rahta hai tari ki aksar mulaqat hoti hai lekin mulaqat ko ji tarasta hai paiham kai bar is kaifiyat par hansa hun hai ye kaisi daldal ki jis mein phansa hun ubharta hun main is ki gahrai se bhi magar jaise phir dub jaane ki khatir ghazab hai hawas ka ye kas-bal mera zehn banta chala ja raha hai khayalat-e-fasid ki daldal