dam aa nahin raha nafas nafas ghutan qadam qadam thakan jale hue par aasman se gir rahe hain kabab ho gae hain kya parkash ke swapn dekhte parind thithur rahe hain zamharir murda ghar mein do daraaz jism labon pe phiphadi bandhi hui utar raha hai aankh mein safed motiya dilon ke sag gali mein bhaunkte hain dhundhte hain daman-ashna musafiron ke sunghte hain prit ki mahak thakan se baithte hain haar kar kuredti hai khwab ki chudail qabr se nikalti hai dagh dagh dhad kharochti hai raat bhar kabud jild ye khalfishaar jism ke ujad margh-zar mein kisi parind ki pukar darakht dheh chuke sabhi pashu pakheru ja chuke ye aakhiri parinda kaun hai huma ya main ye kaun haddiyan chaba raha hai dil ka mas kha raha hai sina regzar ghamon ke andhkar mein ate nagar ye dil hain ya hain ret mein dhanse hue khandar