kis ki uthi hai ye arthi kamla seth lachhman ki padosan bewa seth do ghodon ki bagghi mein aata hai udhar shahr ka sab se bada dani diya lo dhanwan jis ne sone ka chadhaya hai kalas mandir par jis ne gau-shaala bhi banwai thi jis ki mil mein abhi parson hi chali thi goli jis ke darwaze pe mil jati hai bhiksha lekin bhuki mar jae jo ek bewa padosan mar jae pet bharta nahin mazdur ka sat aane mein goli chal jae dan dete hain dayalu dhanwan izzat-e-nafs ke daku shaitan kapde ki mil ke malik aate ki mil ke malik