kaun wo log the ab yaad nahin aata hai phenk aae the mujhe yusuf-e-kanan ki tarah khinch lae the mujhe shahr ke bazaron mein sab ko dikhlate the aaina-e-hairan ki tarah log kahte hain ki koi bhi kharidar na tha kaun wo log the ab yaad nahin aata hai chhod aae the sulagte hue maidan mein mujhe ediyan ragdin magar chashma-e-zamzam na mila kaise tanha kiya kis haal-e-pareshan mein mujhe kaun wo log the ab yaad nahin aata hai bagh-e-asaish hasti bhi dikhaya mujh ko koi shaddad-numa tha koi namrud-sifat be-gunahi ki saza thi ki wo sach ka inam rasan o dar ke mimbar pe bithaya mujh ko kaun wo log the ab yaad nahin aata hai koi insan koi shaitan koi chehra koi nam hafiza shisha ki manind dark jata hai ai khuda tujh se to poshida nahin hai koi raaz dost honge ki wo dushman mera pahuncha de salam shukr karta hun ki duniya ke khazane ne mujhe koi moti na sahi aankh to giryan di hai kya diya kya na diya tu ne khuda-e-fayyaz kya ye kam hai ki mujhe daulat-e-nisyan di hai