khuda ki taraf se wadiat hui hai mujhe soch ki ahliyat to main ye kyon na sochun kahan hai wo jis ki ata ruh bhi jism bhi zindagi bhi hai lekin yahi sochne par anal-haq ki aawaz kyon dar par chadh gai payambar ko maslub kyon kar diya jam-e-sam zehn-e-baaligh ki taqdir kaise bana kyon ye pahra laga soch par aaj phir main barahna hun mujh ko darida qaba hi sahi kuchh to do