dost mila tha tujh ko kaisa haif itna bhi yaad nahin jaan fida karta tha jis par dil mein us ki yaad nahin gardish-e-dauran ne jab us ko aah shikasta-haal kiya dekh kar us ke haal-e-zabun ko tu ne kuchh na malal kiya kaun shikasta-haal kahan hai ye bhi dhyan aaya na tujhe aah tasawwur ne aise mohsin ke tadpaya na tujhe pas tha apne qaul ka jis ko tu ne kuchh us ka pas kiya aamad-o-raft-e-derina ka bhul ke bhi ehsas kiya us ke dard se waqif ho kar tu ne khabar kya li us ki qarz mohabbat jaan ke dil se kya koi khidmat ki us ki dil tere us dost ka nahaq waqf-e-sahar-e-lisani tha meri samajh mein ab aaya wo jam-o-kharch zabani tha nadan insan teri daulat tere sath na jaegi laila-e-matlab dur rahegi tere pas na aaegi hasr faqat tujh hi par kiya hai tu hi ek zar-dost nahin dost bahut milte hain lekin un mein aksar dost nahin dost nahin jo nam ki khatir apne dost ke kaam aae dost wo hai logon ki zaban par jis ka misalan nam aae