kabutar bola ghutarghun ya allah main kya karun do afrad ke kumbe ko aakhir main kaise palun kya laun khud khane ko kya in ke munh mein dalun kis kis se fariyaad karun kis kis se dana mangun rota kudhta rahta hun ghun ghun ghun ghun ghutarghun murghi boli un hun hun dekh main kitni moti hun das afrad ka kumba hai kaisi khush khush rahti hun subh sawere uthti hun dana sab ko chugati hun rab ka shukr ada karke khud izzat se khati hun tu bhi uth aur mehnat kar kyon rota hai ghun ghun ghun