par karna hai mujh ko dasht-e-umr meri manzil-e-adam hai us ke par aage kitna tawil rasta hai aur kitna kathin nahin malum shauq-e-manzil mujhe na zauq-e-safar ham-safar hai na hai koi rahbar aur har gam par sarab koi hai meri tishnagi badhane ko chal raha hun mein be-dili ke sath ye safar mujh pe hai garan lekin main use tark kar nahin sakta main to pal-bhar thahar nahin sakta ye muqaddar hai ya ki majburi chalte rahna hai mujh ko har surat