dast-e-tah-e-sang-amada

bezar faza darpa-e-azar saba hai
yun hai ki har ek hamdam-e-derina khafa hai
han baada-kasho aaya hai ab rang pe mausam
ab sair ke qabil rawish-e-ab-o-hawa hai
umdi hai har ek samt se ilzam ki barsat
chhai hui har dang malamat ki ghata hai
wo chiz bhari hai ki sulagti hai surahi
har kasa-e-mai zahr-e-halahal se siwa hai
han jam uthao ki ba-yaad-e-lab-e-shirin
ye zahr to yaron ne kai bar piya hai
is jazba-e-dil ki na saza hai na jaza hai
maqsud-e-rah-e-shauq wafa hai na jafa hai
ehsas-e-gham-e-dil jo gham-e-dil ka sila hai
us husn ka ehsas hai jo teri ata hai
har subh-e-gulistan hai tera ru-e-bahaarin
har phul teri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai
har bhigi hui raat teri zulf ki shabnam
dhalta hua suraj tere honton ki faza hai
har rah pahunchti hai teri chah ke dar tak
har harf-e-tamanna tere qadmon ki sada hai
tazir-e-siyasat hai na ghairon ki khata hai
wo zulm jo hum ne dil-e-wahshi pe kiya hai
zindan-e-rah-e-yar mein paband hue hum
zanjir-ba-kaf hai na koi band-bapa hai
majburi o dawa-e-giraftari-e-ulfat
dast-e-tah-e-sang-amada paiman-e-wafa hai
This is a great o piya shayari. True lovers of janaza shayari wallpaper will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore azhar masood shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close