kis ne darwaza khatkhataya hai ja ke dekhun to kaun aaya hai kaun aaya hai mere dware par raat aai kahan bichaare par mere chhappar se tek kar kandha kaun istada hai thaka-manda meri kutiya mein aao susta lo ye mera saghar-e-shikasta lo meri chhagal se ghont pani piyo ek nae azm ki jawani piyo timtimate diye ki jhilmil mein jot sulga lo ek nai dil mein ye mere aansuon ki shabnam lo panw ke aablon ki marham lo ye mujhe iftikhar do baitho sar se ga utar do baitho mere zanu par apna sar rakh kar taq par kahish-e-safar rakh kar nind ki anjuman mein kho jao manzilon ke sapan mein kho jao khwab wadi-o-kohsar ke khwab dasht-o-dariya-o-abshaar ke khwab khwab andheri tawil rahon ke kunj-e-sahra ki khema-gahon ke jahan ek shama abhi farozan hai jahan ek dil tapan hai sozan hai tum lipat jao in khayalon se aur main khelun tumhaare baalon se subh jab nur ka fusun barse suni pagdandiyon pe khun barse bag thame hasin iradon ki tum khabar lo phir apne jadon ki jab talak zist ka safina bahe ajnabi ajnabi ko yaad rahe mujh ko ye apni yaad de jao aao bhi kyun jhijhakte ho aao tum kahan ho kahan jawab to do o mere mehman jawab to do tum ne darwaza khatkhataya tha kis ki dastak thi kaun aaya tha nim-shab qafile sitaron ke tez harkare abr-paron ke kis ne nindon ko meri toka tha koi jhonka tha koi dhoka tha