hanut jismon ke kar-khane mein lash rakkhi hui hai kis ki safed kaghaz badan pe kis ne sitam ke sab nam likh diye hain ye phul kal tak sahar ke aangan mein khil raha tha magar siyahi ke tang halqon mein ghir gaya tha! ki khwab zanjir ban gae the azab tabir ban gae the kitab ka gard-posh jaise shikasta ho kar bikhar gaya ho ye kis ibarat ke daere ab kisi shahadat ke nama-bar hain falak se puchhun to kaise puchhun ki marne wale ne zindagi ki talash ki thi to maut taqdir kyun hui thi wo hath kab tak qalam na honge jo zard jismon ko nil-gun zakhm de rahe hain