darkhto? muntazir ho! paniyon mein jhankte kya ho? khade ho sakit-o-jamid khud apne aks ki hairaniyon mein gum tako ek dusre ka munh raho yun istada paniyon ko kya yunhin bahte rahenge aks jo jhalkega sath-e-ab bas aaina ban kar jagmagaegi hawa jo mauj mein aai to bas lahron se khelegi tumhaare dagmagate aks ko koi sambhaala tak nahin dega! tumhaare apne patte taliyan pitenge san-san sansanahat se hawa ki kanpti shakhen karengi kya kanar-e-abju mah-ru taka karta tha ghanton mahwiyat se ishtiyaq-e-did ka aalam har ek patte ki aankhon mein tumhaara dilruba mah-ru wo ab laute bhala kaise darkhto bhul sakti hai kahan wo shakl jis ko dekh kar pani ki aankhen is tarah se jagmagati thin ki us ko dekhne qaus-e-quzah ke rang hanste khilkhilate aa gale lagte the lahron se! kai ek bar tum ne bhi usi ki chah mein jhuk kar hawa-e-tez mein bhi be-khatar chumi thi peshani isi pani ki jo mil kar hawaon se jadon mein bhar raha hai nam! use kis baat ka hai gham giroge munh ke bal to qahqaha pani ka sun lena! tumhein apni tahon mein yun chhupaega khabar tak bhi nahin hogi kisi ko tum yahan par the baha le jaega anjaan se un sahilon tak aur wahan un sahilon par khas-o-khashak mein dhal kar tumhaari muntazir aankhen salamat rah gain to dekh loge khud wahi mah-ru palat kar jo kabhi aaya nahin tha!