aalam-panah khair se bedar ho gae aalam-panah! khair kahan aap chal diye raste tamam band hue der ho gai aur kaisi dopahar mein ghani raat ho gai fanus jhad qumqume raushan nahin hue aur taqchon mein baqi nahin koi bhi charagh aur begamat hujre se bahar nikal padin aur shahzadiyon ke saron par nahin rida ye rang-o-rup ye qad-o-qamat ye chashm o gosh kya raste mein farsh bichhane ko koi hai koi kaniz koi bhi khadim nahin raha? shirini-e-latafat-o-araish-e-hayat aur kya hue wo naz-o-nazakat ke shahkar diwar par hai aayat-ul-kursi ka chaukhata juzdan o ja-namaz masahri ke pas hai aanhken utha ke dekhne wala koi nahin pahnae aa ke aap ko pa-posh kaun ab masnad-nashin jo aap hon ye waqt wo nahin ye waqt hai ajib ki mushkil badi hai ye shoara musahibin asa-da o khasa-dar mir-e-sipah ghulam bhi baqi nahin rahe jo jang hone wali thi aaghaz ho chuki jo raat dhalne wali thi kab ki wo dhal chuki shahi-mahal ke par to duniya badal gai aur asp-e-shah-gam to sab jat le gae aalam-panah shahr to barbaad gaya