darshan karne ek dewi ke ek pujari aaya sis nawae diya jalaya aur charnon mein baith gaya bipta apni kahi na us ne koi bhi fariyaad na ki takte takte phir dewi ko kitne hi yug bit gae darshan karne us dewi ke jo bhi aata sar ko jhukata puja karta aur duniya ki lobh mein lobhi duniya mangta rah jata sadhu sant faqir sabhi ye us se kahte ai diwane kuchh to mango tum dewi se wo hansta aur kahta un se pap aur pun ke chakkar mein mat dalo mujh ko jal hain ye sab duniya ke duniya bas ek chhaya hai ek asthan pe rahna use gawara kab hai gita apne pas hi rakh lo amrit pyala tum hi chakkho main diwana hun dewi ka dewi meri diwani hai