aaj baadal khub barsa aur baras kar khul gaya gulsitan ki dali dali patta patta dhul gaya dekhna kya dhul gaya sare ka sara aasman uda uda nila nila pyara pyara aasman hat gaya baadal ka parda mil gai kirnon ko rah saltanat par apni phir khurshid ne dali nigah dhup mein hai ghas par pani ke qatron ki chamak mat hai is waqt moti aur hire ki damak de rahi hai lutf kya sarsabz pedon ki qatar aur hari shakhon pe hai rangin phulon ki bahaar kya parinde phir rahe hain chahchahate har taraf ragni barsat ki khush ho ke gate har taraf dekhna wo kya achambha hai are wo dekhna aasman par in darakhton se pare wo dekhna ye koi jadu hai ya sach-much hai ek rangin kaman wah wa kaisa bhala lagta hai ye pyara saman kis musawwir ne bhare hain rang aise khushnuma is ka har ek rang hai aankhon mein jaise khub gaya ek jagah kaise ikatthe kar diye hain sat rang shokh hain saton ke saton ek nahin hai mat rang hai ye qudrat ka nazara aur kya kahiye ise bas yahi ji chahta hai dekhte rahiye ise nanhe nanhe jama the pani ke kuchh qatre wahan un pe dala aks suraj ne bana di ye kaman dekho dekho ab miti jati hai wo pyari dhanak dekhte hi dekhte gum ho gai sari dhanak phir hawa mein mil gai wo sab ki sab kuchh bhi nahin aankhen mal mal kar na dekho aao ab kuchh bhi nahin