dharm-o-iman

bahut din se watan mein ek mahaz-e-jang qaem hai
kahin hai dharm ko khatra kahin iman ko khatra

bapa hai sakht tufan runuma hain sakht hangame
kahin hai wed ko khatra kahin quran ko khatra

kahin masjid ko khatra hai shiwale ke mahanton se
kahin hai khanqah walon se dew asthan ko khatra

kahin muslim ko khatra apne imani tahaffuz ka
kahin hindu ke puja-pat ke samman ko khatra

kahin shuddhi ke parchaarak ko khatra dharm raksha ka
kahin tabligh ke jhande ki aan-ban ko khatra

nahin hota koi aisa minute chaubis ghante mein
na rahta ho watan walon ke mal-o-jaan ko khatra

ye sari pesh-bandi hai faqat is baat ki khatir
ki lahaq ho na british raj ke aiwan ko khatra

ye thekedar din aur dharm ke is ke bhi zamin hain
na paida ho mafad-e-ahal-e-inglistan ko khatra

ye khana-jangiyan jitni hain sab ka muddaa ye hai
na hargiz runuma ho jaan bal ki jaan ko khatra

ghulaman-e-azal yani ye jhute peshwa-e-din
laga rahta hai har dam jin ke dastar-khwan ko khatra

wo kab chahenge koi is tarah ka inqalab aae
ki ho mahsus un ke amn-o-itminan ko khatra

hamara farz hai hum un lafangon ko fana kar den
ki hai un sab ke sab se aam hindostan ko khatra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close