dharti ki sulagti chhati se bechain sharare puchhte hain tum log jinhen apna na sake wo khun ke dhaare puchhte hain sadkon ki zaban chillati hai sagar ke kinare puchhte hain ye kis ka lahu hai kaun mara ai rahbar-e-mulk-o-qaum bata ye jalte hue ghar kis ke hain ye katte hue tan kis ke hain taqsim ke andar tufan mein lutte hue gulshan kis ke hain bad-bakht fazaen kis ki hain barbaad nasheman kis ke hain kuchh hum bhi sunen hum ko bhi suna kis kaam ke hain ye din-dharm jo sharm ka daman chaak karen kis tarah ke hain ye desh-bhagat jo baste gharon ko khak karen ye ruhen kaisi ruhen hain jo dharti ko napak karen aankhen to utha nazren to mila jis ram ke nam pe khun bahe us ram ki izzat kya hogi jis din ke hathon laj lute is din ki qimat kya hogi insan ki is zillat se pare shaitan ki zillat kya hogi ye wed hata quran utha ye kis ka kaho hai kaun mera ai rahbar-e-mulk-o-qaum bata