dhund ke pare ek din raushni ke haale mein wo mujhe nazar aaya jaise dewta koi muntazir ho dasi ka main ne ru-ba-ru ho kar us se iltija ki thi doge raushni apni mustaar leni hai har taraf andhera hai mezbani karni hai kuchh kharab haalon ki ruh ki kasafat ka dil pe bojh hai jin ke chand zakhm aise hain jo ki bhar na paenge gar nahin mile un ko raushni ke ye haale meri baat sun kar wo muskura ke bola tha be-niyaz shahzadi jaan kyun nahin letin raushni ka rauzan to sirf tum se khulta hai dhundlata har manzar is liye to wazeh hai jhilmilati ye kirnen tum se hi to phuti hain khud ko jod lo khud se raushni to tum se hai