main dekh raha hun ek film jis mein logon ki nind kisi ne chura li hai main khinch raha hun ek shab jis mein ghunghru mere panw se alahida kar liye gae main dhund raha hun ek nai naukri jis mein mujhe part time mein mohabbat karne ki ijazat ho main chhod raha hun diary ka ek khali safha jis par koi bhi kuchh bhi likh sakta hai main chun raha hun wo patthar jo auraton ko sangsar karte hue bach jate hain main bhul raha hun wo shakhs jo mujhe tohfe mein apni diwar de kar mar gaya main phenk raha hun apna nam us raste par jahan se kal mera janaza guzara jaega main draw kar raha hun ek pahad jis par se kud kar main apni jaan de dunga