mere dil, mere musafir hua phir se hukm sadir ki watan-badar hon hum tum den gali gali sadaen karen rukh nagar nagar, ka ki suragh koi paen kisi yar-e-nama-bar ka har ek ajnabi se puchhen jo pata tha apne ghar ka sar-e-ku-e-na-shanayan hamein din se raat karna kabhi is se baat karna kabhi us se baat karna tumhein kya kahun ki kya hai shab-e-gham buri bala hai hamein ye bhi tha ghanimat jo koi shumar hota hamein kya bura tha marna agar ek bar hota!