dil wo sahra tha ki jis sahra mein hasraten ret ke tilon ki tarah rahti thin jab hawadis ki hawa un ko mitane ke liye chalti thi yahan mitti thin kahin aur ubhar aati thin shakl khote hi nai shakl mein dhal jati thin dil ke sahra pe magar ab ki bar saneha guzra kuchh aisa ki sunae na bane aandhi wo aai ki sare tile aise bikhre ki kahin aur ubhar hi na sake yun mite hain ki kahin aur banae na bane ab kahin tile nahin ret nahin ret ka zarra nahin dil mein ab kuchh nahin dil ko sahra bhi agar kahiye to kaise kahiye