naghma-dar-jaan raqs barpa khanda-bar-lab dil tamannaon ke be-payan alaw ke qarib dil mere sahra-naward-e-pir dil reg ke dil-shad shahri reg tu aur reg hi teri talab reg ki nikhat tere paikar mein teri jaan mein hai reg subh-e-id ke manind zartab-o-jalil reg sadiyon ka jamal jashn-e-adam par bichhad kar milne walon ka visal shauq ke lamhat ke manind aazad-o-azim reg naghma-zan ki zarre reg-zaron ki wo pazeb-e-qadim jis pe pad sakta nahin dast-e-laim reg-e-sahra zar-gari ki ek ki lahron se dur chashma-e-makr-o-riya shahron se dur reg shab-bedar hai sunti hai har jabir ki chap reg shab-bedar hai nigaran hai manind-e-naqib dekhti hai saya-e-amir ki chap reg har ayyar ghaarat-gar ki maut reg istibdad ke tughyan ke shor-o-shar ki maut reg jab uthti hai ud jati hai har fateh ki nind reg ke nezon se zakhmi sab shahanshahon ke khwab reg ai sahra ki reg mujh ko apne jagte zarron ke khwabon ki nai tabir de reg ke zarron ubharti subh tum aao sahra ki hadon tak aa gaya roz-e-tarab dil mere sahra-naward-e-pir dil aa chum reg hai khayalon ke pari-zadon se bhi masum reg reg-e-raqsan mah-o-sal nur tak raqsan rahe us ka abresham mulaem narm-khu khandan rahe dil mere sahra-naward-e-pir dil ye tamannaon ka be-payan alaw rah gum kar dun ki mashal is ke lab par aao aao tere mazi ke khazaf rezon se jagi hai ye aag aag ki qurmuz zaban par imbisat-e-nau ke rag dil mere sahra-naward-e-pir dil sargirani ki shab-e-rafta se jag kuchh sharar aaghosh sarsar mein hain gum aur kuchh zina ba zina shoalon ke minar par chadhte hue aur kuchh tah mein alaw ki abhi muztarib lekin muzabzab tifl-e-kam-sin ki tarah aag zina aag rangon ka khazina aag un lazzat ka sar-chashma hai jis se leta hai ghiza ushshaq ke dil ka tapak chob-e-khushk angur us ki mai hai aag sarsaraati hai ragon mein id ke din ki tarah aag kahin yaad se utri hui sadiyon ki ye afsana-khwan aane wale qarnaha ki dastanen lab pe hain dil mera sahra-naward-e-pir dil sun kar jawan aag aazadi ka dil-shadi ka nam aag paidaish ka afzaish ka nam aag ke phulon mein nasrin yasman sumbul shafiq-o-nastaran aag aaraish ka zebaish ka nam aag wo taqdis dhul jate hain jis se sab gunah aag insanon ki pahli sans ke manind ek aisa karam umr ka ek tul bhi jis ka nahin kafi jawab ye tamannaon ka be-payan alaw gar na ho is laq-o-daq mein nikal aaen kahin se bhediye is alaw ko sada raushan rakho reg-e-sahra ko bashaarat ho ki zinda hai alaw bhediyon ki chap tak aati nahin aag se sahra ka rishta hai qadim aag se sahra ke tedhe rengne wale girah-alud zholida darakht jagte hain naghma-dar-jaan raqs barpa khanda-bar-lab aur mana lete hain tanhai mein jashn-e-mahtab un ki shakhen ghair-marai tabl ki aawaz par deti hain tal bikh-o-bun se aane lagti hai khudawandi jalajil ki sada aag se sahra ka rishta hai qadim rahrawon sahra-nawardon ke liye hai rahnuma karwanon ka sahaara bhi hai aag aur sahraon ki tanhai ko kam karti hai aag aag ke chaaron taraf pashmina-o-dastar mein lipte hue afsana-go jaise gird-e-chashm mizhgan ka hujum un ke hairat-nak dilkash tajrabon se jab damak uthti hai ret zarra zarra bajne lagta hai misal-e-saz-e-jaan gosh-bar-awaz rahte hain darakht aur hans dete hain apni aarifana be-niyazi se kabhi ye tamannaon ka be-payan alaw gar na ho reg apni khalwat-e-be-nur-o-khud-bin mein rahe apni yaktai ki tahsin mein rahe is alaw ko sada raushan rakho ye tamannaon ka be-payan alaw gar na ho asia africa pahnai ka nam be-kar pahnai ka nam europe aur america darai ka nam takrar-e-darai ka nam mera dil sahra-naward-e-pir dil jag utha hai mashriq-o-maghrib ki aisi yak-dili ke karwanon ka naya ruya liye yak-dili aisi ki hogi fahm-e-insan se wara yak-dili aisi ki hum sab kah uthen is qadar ujlat na kar izhdiham-e-gul na ban kah uthen hum tu gham-e-kul to na thi ab lazzat-e-kul bhi na ban roz-e-asaish ki bedardi na ban yak-dili ban aisa sannata na ban jis mein tabistan ki dopahron ki be-hasil kasalat ke siwa kuchh bhi na ho is jafa-gar yak-dili ke karwan yun aaenge dast-e-jadu-gar se jaise phut nikle hon tilism ishq-e-hasil-khez se ya zor-e-paidai se jaise na-gahan khul gae hon mashriq-o-maghrib ke jism jism sadiyon ke aqim karwan farkhanda-pai aur un ka bar kisa kisa takht-e-jam aur taj-e-kai kuza kuza fard ki satwat ki mai jama jama roz-o-shab mehnat ka khai naghma naghma hurriyat ki garm lai saliko firoz-bakhto aane wale qaflo shahr se lautoge tum to paoge ret ke sarhad pe jo ruh-e-abad khwabida thi jag uthi hai shikwa-ha-e-nai se wo ret ki tah mein jo sharmili sahar roida thi jag uthi hai hurriyat ki lai se wo itni doshiza thi itni mard-e-na-dida thi subh puchh sakte the na us ki umr hum dard se hansti na thi zarron ki ranai pe bhi hansti na thi ek mahjubana be-khabari mein hans deti thi subh ab manati hai wo sahra ka jalal jaise izz-o-jal ke panw ki yahi mehrab ho zer-e-mehrab aa gai ho us ko bedari ki raat khud janab-e-izz-o-jal se jaise umid-e-zafaf sare na-karda gunah is ke muaf subh-e-sahra shad-baad ai urus-e-izz-o-jal farkhanda ro tabinda kho tu ek aise hujra-e-shab se nikal kar aai hai dast-e-qatil ne bahaya tha jahan har sej par sainkadon taron ka rakhshanda lahu phulon ke pas subh-e-sahra sar mere zanu pe rakh kar dastan un tamanna ke shahidon ki na kah un ki nima-ras umangon aarzuon ki na kah jin se milne ka koi imkan nahin shahd tera jin ko nashsh-e-jaan nahin aaj bhi kuchh dur is sahra ke par dew ki diwar ke niche nasim roz-o-shab chalti hai mubham khauf se sahmi hui jis tarah shahron ki rahon par yatim naghma-bar-lab taki un ki jaan ka sannata ho dur aaj bhi is reg ke zarron mein hain aise zarre aap hi apne ghanim aaj bhi is aag ke shoalon mein hain wo sharar jo us ki tah mein par-burida rah gae misl-e-harf na-shunida rah gae subh-e-sahra ai urus-e-izz-o-jal aa ki un ki dastan dohraen hum un ki izzat un ki azmat gaen hum subh ret aur aag hum sab ka jalal yak-dili ke karwan un ka jamal aao is tahlil ke halqe mein hum mil jaen aao shad-bagh apni tamannaon ka be-payan alaw