dilli dangon ke beach

dharm ke nam pe qatil ki himayat karna
aur phir mulk ke jalne ki shikayat karna

kitna aasan hai hindu-o-musalman hona
sirf mushkil hai kisi shakhs ka insan hona

zulm ki dhup-o-imkan bhi nahin chhanw ka
ek sa haal hai ab ganw ka sahraon ka

aise haalat mein aankhon mein lahu ko lao
naghma-e-ishq ko sab zor se gao gao

koi bhi dagh na nafrat ka jabin par aae
baadshah bahra hai ab zor se chikha jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close