dilli

dilli ki is jahan mein azim-o-qadim hai
ilm-o-fan-o-hunar ki sada se naim hai

allah is ki azmat-e-din ka alim hai
tafsir-e-dil hadis-e-khudi ka fahim hai

gita-puran ke bhi fasane mein zikr hai
tarikh se bhi qabl zamane mein zikr hai

dilli ka padawon ke tarane mein zikr hai
indar-prasth tak ke sajaane mein zikr hai

dilli sada se markaz-e-bazm-e-shahan rahi
samrat chakrwarti o shah-e-jahan rahi

pirana-sal ho ke bhi har-dam jawan rahi
pachchis bar lut ke bhi ye kahkashan rahi

mangol shak kushan darawid ki hoon hon
wo aariya arab hon ki ahl-e-funun hun

waidik hon bodh jain ki ahl-e-junun hon
qaum-e-arab ke hon ki musalman ke khun hon

duniya ki kitni naslon ne is ko sajaya hai
har dharm din zat ne is ko basaya hai

sare-jahan mein ishq ka markaz rahi sada
sare-jahan mein danka isi shahr ka baja

barbaadiyon se aaj bachao use rafiq
'gulzar'-e-hind phir se banao ise rafiq


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close