khun ka har ek qatra jaise dimak ban kar daude nakaami ke zahr ko chate dard mein ghulta jae chhalni jism se riste lekin armanon ke rang jin ka rup mein aana mushkil aur jab bhi alfaz mein dhal kar kaghaz par bah nikle khake taswiron ke banae aankhen tare hath shuaen dil ek sadaf hai jis mein kitne sachche moti bhare hue hain bahar aate hi ye moti shabnam ban kar ud jate hain jaise apna khoya suraj dhund rahe hain main apne anjam se pahle shayad ek din in khakon mein rang bharunga ye bhi to mumkin hai lekin main bhi ek khaka ban jaun jis ko dimak chat rahi ho