ram ke hijr mein ek roz bharat ne ye kaha qalb-e-muztar ko shab-o-roz nahin chain zara dil mein arman hai ki aa jaen watan mein raghubir yaad mein un ki kaleje mein chubhe hain nashtar koi bhai se kahe zakhm-e-jigar bhar den mera khana-e-dil ko ziyarat se munawwar kar den ram aaen to diye ghi ke jalaun ghar ghar dip-mala ka saman aaj dikhaun ghar ghar tegh-e-furqat se jigar pash hua jata hai dil gham-e-ranj se pamal hua jata hai dagh hain mere jale dil pe hazaron lakhon gham ke nashtar jo chale dil pe hazaron lakhon kah rahe the ye bharat jabki siri-ram aae dhum duniya mein machi nur ke baadal chhae arsh tak farsh se jai jai ki sada jati thi khurrami ashk har ek aankh se barsati thi jalwa-e-rukh se hua ram ke aalam raushan pur umidon ke gulon se hua sab ka daman mohni shakl jo raghubir ki nazar aati thi aankh tazim se khilqat ki jhuki jati thi muddaton baad bharat ne ye nazara dekha kaamyabi ke falak par tha sitara chamka dil khushi se kabhi pahlu mein uchhal padta tha ho mubarak ye kabhi munh se nikal padta tha hote raushan hain charagh aaj jahan mein yaksan gul hua aaj hi par ek charagh-e-taban hai murad us se wo bhaarat ka charagh-e-raushan nam hai jis ka dayanand jo tha fakhr-e-watan jis dayanand ne bhaarat ki palat di qismat jis dayanand ne duniya ki badal di haalat jis dayanand ne gulzar banae jangal jis dayanand ne qaumon mein macha di halchal aaj wo hind ka afsos dulara na raha gham-nasibon ke liye koi sahaara na raha yaad hai us ki zamane mein har ek su jari us ki furqat ki lagi tegh jigar par kari dil ye kahta hai ki is waqt zabanen kholen aao mil mil ke dayanand ki hum jai bolen