dosto kya kya diwali mein nashat-o-aish hai sab muhayya hai jo is hangam ke shayan hai is tarah hain kucha-o-bazar par naqsh-o-nigar ho ayan husn-e-nigarisatan ki jin se khub re garm-joshi apni ba-jam-e-charaghan lutf se kya hi raushan kar rahi hai har taraf roghan ki mai mail-e-sair-e-charaghan nakhl har ja dam-ba-dam hasil-e-nazzara husn-e-sham-e-ruyan pai-ba-pai aashiqan kahte hain mashuqon se ba-ijz-o-niyaz hai agar manzur kuchh lena to hazir hain rupe gar mukarrar arz karte hain to kahte hain wo shokh hum se lete ho miyan takrar-o-hujjat ta-ba-kai kahte hain ahl-e-qimar aap mein garm ikhtilat hum to dab mein sau rupe rakhte hain tum rakhte ho kai jit ka padta hai jis ka danon wo kahta hai yun su-e-dast-e-rast hai mere koi farkhanda-pai hai dasahre mein bhi yun go farhat-o-zinat 'nazir' par diwali bhi ajab pakiza-tar tyauhaar hai