suna hai us ne padhte padhte aankhon ko hairan kiya hai pusht se lipte aainon ke zangaron ka dhyan kiya hai sadiyon par phaili, an-dekhi raushniyon ka gyan kiya hai pal-do-pal wishram kiya tha suna hai us ne likhte likhte daftar mein apne jiwan ke din kate to raaton ka wardan diya hai gahri fikr ke mote mote shishe pahan kar lafzon mein nae mani aur mafhum samo kar aur guman ke darwazon par nae taur se dastak de kar fikr ki unchai se guzar kar bade bade inam hain pae duniya ke samman uthae lekin ab to apne art ke taj-mahal mein ek taswir sa latka hua hai