ek bharpur mukammal pan yak jaani ghusl aur nashta dhobi dhule hue kapde be polish boot sadken aabaadi tanhai khabren sher aawazen rang masafat sabza ped pahad aur pani nange pair aur sath ki hairani dil ki gahrai tanhai ka sukun aur tanhai ki wahshat ek bharpur mukammal pan yak-jaani yaktai raat ka khana sair aur hat mein hat aur waqt ki tezi sine sile hue khunki mein hiddat garmi mein kuchh aur bhi achchhi hiddat khwab bahao sara aalam jagte jagte sona sote sote jagte rahna yak tai yak jaani pani dariya pani gahra sabz samundar jis mein tan duben tanhai nikle shah-e-rag se nazdik ragon mein rawan sine ki sans lahu ki surkhi aankh ki binai yak tai yak jaani bharpur mukammal-pan tanhai tanhai