darwaze se takra kar andar aati hawaon mein zindagi thi us se inkar ki qimat kisi ne nahin puchhi bas phephadon ne khud ko taqsim kar diya main sans lena chahta hun khuli faza mein lekin bhar chuka hai zahr meri dua mein wo sab mil kar dhakelte hain mujhe ghaaron mein jahan mera pathraya hua badan mera khun mangta hai jis mein tairte hain ghutan ke bulbule phatte hain mere jazbon ki tarah aawaz kisi drone ki jo dhimi aur mohlik hai uchhaal deti hai numudar hone wali lakiron ki taraf jin ki atraf mein ghutan pagal-pan mein har shai taqsim karti hai taqsim karti hai phephde jinhen apni sanson ki dor se bandhna chahta hun