dost ki pahchan

bachcho nizam-ul-mulk wazir
danai ki tha taswir

us se milne ko sadha
aate the adna aala

achchhi jagah par bithlata
aur mohabbat farmata

ek budha aata har din
had se ziyaada jis ka sin

logon ne us se puchha
aata kyon hai ye buddha

karte ho kyon us ki izzat
is buddhe ki ye azmat

bola un sab se ye wazir
hai achchha tum se ye faqir

tum to khushamad karte ho
meri khushi par marte ho

lekin ye buddha dana
mere aib hai batlata

dost ye hai mera asli
mana hun har baat is ki

is ko na dushman jaano tum
mera kahna mano to tum

dost wahi hai ai 'jauhar'
baat kahe sachchi munh par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close