dozaKH

mauj-e-sahba mein tamanna ke safine kho kar
naghma o raqs ki mahfil se jo ghabra ke utha

ek hansti hui gudiya ne ishaare se kaha
tum jo chaho to main shab bhar ki rifaqat bakhshun

jumbish-e-abru ne alfaz ki zahmat bhi na di
nim-wa aankhon mein ek dawat-e-khamosh liye

yun simat kar meri aaghosh mein aai jaise
bhari duniya mein bas ek gosha-e-rahat tha yahi

hum bhi viran guzargahon pe chalte chalte
ghar tak aae to koi rang-e-takalluf hi na tha

do badan milte hi yun hamdam-e-derina bane
tandahi-e-shauq mein duri ka har ehsas mita

subh ke sath khuli aankh to ehsas hua
mere sine mein koi chiz thi jo tut gai

der se dekh rahi thi teri taswir mujhe
tere aariz pe thi bahte hue ashkon ki nami

teri khamosh nigahon mein koi shikwa na tha
dekhte dekhte virani-e-dil aur badhi

teri taswir ko sine se laga kar puchha
kis tarab-zar mein aasuda hai ai rahat-e-zist

mujhe in aag ke shaalon mein kahan chhod gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close