zindagi sham' ki surat ho khudaya meri mangta tha ye du'a sham-o-sahar bachpan mein jaane kya roz tha kya waqt tha kya lamha tha dar-e-tasir khula tha ki khuda 'arsh-e-barin se chala aaya tha zamin par nur ek chamka kuchh aisa ki mere sine mein aag si ek lagi aur phir badhti rahi rag rag mein aur ab haal ye hai jism ka koi bhi ang aag se khali nahin na koi phunk na tufan aag phaili hi chali jati hai main pighalta hi chala jata hun