khudae bartar azim khaliq saba ko raftar dene wale nafi ko isbaat dene wale tu mere jazbon ko chandni de shikasta harfon ko raushni de kabida lamhon ko tazgi de burida lafzon ko zindagi de main sochta hun shajar ki jis ka nahin ho saya na jis se phal ka bhi aasra ho khudae bartar azim khaliq tu mere zakhmon ki laj rakh le qalam ke phulon ka taj rakh le main chahta hun ai mere maula mujhe tu le aur mere badle tere jahan ko ek sachcha aadmi de bas ye kami tu puri kar de