wo din bhi kaise din the jab teri palkon ke sae sham ki gahri udasi ban ke meri ruh mein jadu jagate the meri aankhon mein ninden tere baalon ki tarah aise subuk se jal banti thin ki jo halqa-ba-halqa khwab-andar-khwab anjaane zamanon ki gurezan saaton par abr ki surat baraste the badalte mausamon ki tarah tere jism par aalim guzarte the meri jaan to bahaar-e-jawedan ka ek mausam thi jo meri ruh mein aaya mujhe kyun yaad aate hain wo din jawab na aaenge na aaenge to phir kyun yaad aate hain wo din bhi kaise din the jab meri bedariyon ki sarhaden khwabon se milti thin wo baaten jo ki na-mumkin hain mumkin thin jahan bas soch lena aur ho jaana barabar tha tujhe kya yaad hai wo din ki jab harf-e-shikayat ki girah si pad gai thi mere sine mein meri aazurdagi se sham ke chehre pe zardi thi main tere pas baitha sochta tha jaane kya kya sochta tha tujhe kya yaad hai tu ne kaha tha main dil ki baat agar us se bhi kah sakti to kah deti ki mere jism mein do dil dhadakte hain tumhaare waste bhi jo dushman-e-jaan hai