main hun ya tum ho ye sach hai apne andar ek qabila har koi hai jis ko shayad raat ko sahra ke rone ka raaz pata hai aisa rona dur kahin jaise kuchh bachche sadiyon pahle hum ne jin ko qatl kiya ho aur wo apne qatl se pahle roe chale jate hon ya phir ye un ruhon ka rona ho jo insani rup mein zahir ho na saki hun ret ke tilon ko chhu chhu kar misl-e-hawa roe jati hun aur qabile ke bashinde hum apne khemon mein lete apne aap se baaten karte raat ko sahra ki tanhai ka rona sunte rahte hain sarangi ki sur ki tarah sisakta sahra hum sab mein hai lekin phir bhi mera rona tera rona dukh se khali khali kyun hai