duniya mein koi kisi se mohabbat nahin karta har shakhs apni zat se mohabbat karta hai darakht ki shakhen raushni ki taraf lapakti hain to jaden nami ki hum ne apne gird khud-gharzi ka jal bichha rakha hai dosti mohabbat swarth ke hi mukhtalif nam hain mujhe tum se mohabbat hai ki wo meri zarurat hai aur har aadmi apni zarurat puri karta hai tumhein apni biwiyon se mohabbat hai ki wo tumhaare liye sahuliyat faraham karti hain aur mujhe apne bachchon se pyar hai ki mera swarth bahut hai in mein wo mar gaya mujhe dukh hua main ro pada main kyon roya us se apne talluq ke izhaar ke liye ya apni un zaruriyat ke liye jo wo puri karta tha ya us ke us kirdar ke liye wo mere liye ada karta tha wo ab mere liye kuchh nahin kar sakega main roya sirf apne liye