phir mujhe aisa laga jaise kaghaz par siyahi phailne se lafz gadmad ho gae hon aaina dhundla gaya ho jaane pahchane hue sab log jaise ajnabi se ban gae hon mere kamre mein padi table ke khanon se nikal kar khat hawa mein ud rahe hon box mein rakha hua rumal shoala ban gaya ho barf ke tudon tale dab kar zehn bhi munjamid hone ke badle jal raha ho phir mujhe aisa laga jaise main apne se baghi ho gaya hun apne hi upar main hamla kar raha hun sochta hun main ne shayad kal tujhe kuchh kah diya tha tu ne bhi mujh ko sunaya tha bahut kuchh aur phir donon hi hum chup ho gae the