jinhen chahte ho pasand karte ho un ki ruhon ko tatolo sachchaiyon ki girhon ko kholo wahan bhi andhere khandar hain wahan bhi viran manzar hain wahan bhi zakhmon ke basere hain wahan bhi tanhaiyon ke dere hain wo bas hanste hain numaish ke liye un ki zahr-khand hansi ko samjho gosha-e-afiyat unhen mila hai na tumhein milega ki wo bhi aasi khwahishon ke ki tum bhi aasi aarzuon ke jinhen chahte ho pasand karte ho un ki ruhon ko tatolo sachchaiyon ki girhon ko kholo