rishton ki bukarat bachane mein mohabbat kaam aa gai to kya malul na ho mohabbat aur duniya ke darmiyan ye rishta kanch aur patthar ka yun hi bana rahega aain to yahi thahra hai ki fath ka parcham duniya hi lahraegi aur mohabbat zamin ki tah mein chhup kar intizar karegi duniya ke fasil ban jaane ka tu pashiman na ho apne paiman ko manind-e-habab tutta dekh kar aao mohabbat ke khuda ka shukriya ada karen aur ek aakhiri bose ko mahfuz kar ke apne apne kechuon ki bhid mein kho jaen yun ki dhunden to apna bhi pata na paen