ba-zahir ye lagta hai us malgaji subh ko sab sahaaron ne jaise achanak tera sath chhoda sahar ne zamin par qadam jab rakha to achanak zamin bewafa ho gai ubharta hua aaftab ek hi na-gahan laghzish-e-pa se yun ladkhadaya ki maghrib ke patal mein munh ke bal ja samaya achanak farishte kafan saeban ki tarah tan kar aasmanon se utre gulon ki mahak ki jagah dafatan bu-e-kafur ki sard-mehri ne le li shajar ke badan se nai konpalon ki bajae khizan phut nikli ba-zahir ye lagta hai lekin bhala hadsa ek-dam kab hua hai bahut din se is sar-ba-mahar aatishin raaz ka gung fita khamoshi se jalta chala ja raha tha fana ke garajte hue aabshaaron ke upar tana rassiyon ka ye pul ek muddat se galta ja raha tha