ek chhabeli nai-naweli sundar pyari ladki nae chand ki nurani kashti se niche utri aasman se le kar zamin tak phul girae us ne jidhar jidhar se guzri ghar aangan mahkae us ne ek albeli nai-naweli dudh si ujli ladki shir khorma aur siwaiyan khati khilati i nirdhan aur dhanwan sabhi se hansti hansati i qadam qadam par khushiyon ki saughat lutati i ek chhabeli nai-naweli natkhat chanchal ladki rang-birangi poshakon mein mela ghum rahi hai jhapat rahi hai sab se eidi khush hai jhum rahi hai aaj to sare din hi goya us ki dhum rahi hai ek chhabeli nai-naweli eid chali aai hai kitni khushiyan kitne naghme daman mein lai hai