jism hai tera rang ki duniya rup hai tera nur ki wadi tu bhi majbur hai clerki par ai clerkon ke dil ki shahzadi teri aankhen surur ka mandir teri zulfen bahaar ka maskan aur type ki gat pe nachta hai tera doshiza naghmai joban tere un aarizon ke phulon par gulistan ka guman hota hai aur tera ghurur-e-zebai filon se lipat ke rota hai apni zau se jhijak raha hai charagh tujh se darti hai teri parchhain zindagi ki zaruraten tujh ko kin ajab raston pe le aaen tu bhi wo sher-e-dil-nashin hai jise aaj tak koi qadr-dan na mila khud sarapa bahaar hai lekin tera apna chaman kabhi na khila aaj tak tu ne zakhm khae hain rang-afshan gulon ke dhoke mein aa saja lun tere tajassus ko apne ehsas ke jharoke mein aaina kis liye hai zang-alud phul ki pankhudi pe sil kyun hai dekh kar tujh ko sochta hun main zindagi itni tang-dil kyun hai